Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yeh Duniya Jala Do (Glittery Cut)
Anumita Nadesan
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Jaao, mujhko na aise tum satao
Khaalipan ki qeemat ki yaad na dilao
Yeh din, yeh raat, yeh raat, yeh din
In mein faraq nahi
Main chahun kya ya chahun na
Mujhe khabar nahi
In khaali-khaali raahon par
Tumhein dhoondhoon main iss qadar
Dil mera keh utha, "Na jaane kya hai maajra"
Mera eemaan khareed lo
Sambhaalo iss mareez ko
Meri tanhaai se mujhe riha karo
Aao, mujhko na aise tadpao
Deewanepan ki farzi kahaniyan sunao
Akelepan mein kya hai khaas?
Ab chhede zindagi
Bhula diya guroor mera
Ab marne ki kami
In khaali-khaali raahon par
Tumhein dhoondhoon main iss qadar
Dil mera keh utha, "Kaisi hai yeh dastaan?"
Mera eemaan khareed lo
Sambhaalo iss mareez ko
Meri tanhaai se mujhe riha karo
Seh lo yeh raat jismein noor nahi hai
Baatein jinka koi wajood nahi hai
Seh lo yeh raat jismein noor nahi hai
Baatein jinka koi wajood nahi hai