The Last Letter
Maan Panu, Mazaak
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Ek baat reh gayi thi, chup-chaap reh gayi thi
Tum shaam-subah sab le gaye, bas raat reh gayi thi
Bas yaad reh gayi thi, behisaab reh gayi thi
Tum saare mausam le gaye, barsaat reh gayi thi
Ek baat reh gayi thi, chup-chaap reh gayi thi
Tum shaam-subah sab le gaye, bas raat reh gayi thi
[Verse]
Tune na jaana tere jaane se kya-kya hua
Kitni kahaani bani, kitna tamasha hua
Jaane tu kaisi hogi aur woh deewana tera
Khush tu bhi kya hi hogi aur kya salona jahaan
[Bridge]
Mera saara badan tha so raha, bas aankh reh gayi thi
Aisa lag raha tha mar gaye, bas saans reh gayi thi
Tum phool chura ke chal diye, bas shaakh reh gayi thi
Tum shama bujha ke chal diye, bas raakh reh gayi thi
[Chorus]
Ek baat reh gayi thi, chup-chaap reh gayi thi
Tum shaam-subah sab le gaye, bas raat reh gayi thi
Bas yaad reh gayi thi, behisaab reh gayi thi
Tum saarе mausam le gaye, barsaat reh gayi thi