Bairagi Bhanwara
Popularity ยท Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Oo, mere bairaagi bhanwra, mujhe tadpaao na
Kali ke chhote se dil ko thhes lagaao na

Aao na
Aayi purab se hawa, mausam rang bhara, chamke bijuriya

Main hun saawan ki ghata, pyaar ke parbat tum, sanwariya
Main baras jaaun...
Main baras jaaun, tum apni pyaas bujhaao na
Oo, mere bairaagi bhanwra, mujhe tadpaao naa
Tumhre pyaar bina roop mera badnaam rahega

Kitne roz bhala aur kali mera naam rahega
Phul ban jaaun main...
Phul ban jaaun main khil ke, gale se lagaao na
Oo, mere bairaagi bhanwra, mujhe tadpaao na
Aao na
Sapna ban ke mile aur bichhad chale ban ke saaya

Aisa karna tha to shabnam ko kyun shola banaaya?
Aag lagaayi...
Aag lagaayi hai to phir ye aag bujhaao na