Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Goom Hai Kisi Ke Pyar Mein
Rahul Dev Burman
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Huh? Kya kaha?
Gum hai kisi ke pyaar mein dil subah-shaam
Par tumhein likh nahi paaon main uska naam
Haay Ram
Haay Ram
Kuch likha? (Haan)
Kya likha?
Ho, gum hai kisi ke pyaar mein dil subah-shaam
Par tumhein likh nahi paaon main uska naam
Haay Ram
Haay Ram
Accha, aage kya likhoon?
Aage?
Socha hai, ek din main us'se mil ke
Keh daalun apne sab haal dil ke
Aur kar doon jeevan uske hawaale
Phir chhod de, chaahe apna bana le
Main to uska re hua deewana
Ab to jaisa bhi mera ho anjaam
O, gum hai kisi ke pyaar mein dil subah-shaam
Par tumhein likh nahi paaon main uska naam
Haay Ram
Haay Ram
Likh liya? (Haan)
Zara padh ke to sunao na
Chaaha hai tumne jis baawari ko
Wo bhi, sajanwa, chaahe tumhi ko
Naina uthaaye to pyaar samjho
Palkein jhuka de to iqraar samjho
Rakhti hai kab se chhupa-chhupa ke (kya?)
Apne honton mein, piya, tera naam
Ho, gum hai kisi ke pyaar mein dil subah-shaam
Par tumhein likh nahi paaon main uska naam
Ho, gum hai kisi ke pyaar mein dil subah-shaam
Par tumhein likh nahi paaon main uska naam
Haay Ram
Haay Ram