Wafa Na Raas Aayee Tujhe O Harjaee
Bewafa Sanam Vol 2
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Mujhe o bewafa, zara ye to bata
Tune aag ye kaisi lagaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Mujhe o bewafa, zara ye to bata
Tune aag ye kaisi lagaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Daulat ke nashe mein tune mujhe
Nazron se apni door kiya
Daulat ke nashe mein tune mujhe
Nazron se apni door kiya
Mere pyaar ka sheesh mahal tune
Ek pal mein chaknaachoor kiya
Mujhe de ke yun gham, aise karke sitam
Tune meri wafa thukraai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Tune roop khizaon ka bakhsha
Mere gulshan ki hariyaali ko
Tune roop khizaon ka bakhsha
Mere gulshan ki hariyaali ko
Aabaad nasheman tha jis par
Tune kaat diya us daali ko
Mere seene ke sukh, diye tune hain dukh
Saari rasmein-kasmein bhulaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Mohlat na mile shayad mujhko
Ab tujhse bichhad ke milne ki
Mohlat na mile shayad mujhko
Ab tujhse bichhad ke milne ki
Armaan hue sab khaak mere
Khwaahish na rahi ab jeene ki
Yaadon ki chubhan, saanson ki agan
Mere mann hai aaj samaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Mujhe o bewafa, zara ye to bata
Tune aag ye kaisi lagaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai
Wafa na raas aayi, tujhe o harjaai